My daily journal (Day 9)
Aaj ka Din — Sabr, Mehnat aur Shukar
Raat 12:00AM baje se 01:00AM baje tak main ne apna kaam start kiya.01:00AM se 03:00AM tak laptop par baith kar Skool Learning App par learning karti rahi. 03:00AM se 3:30AM baje tak tahjud ka time tha.
3:40AM se 4:45AM offered fjr prayer and morning azkar tak walk ki,phir nashta kiya aur 5:15 par dobara laptop par baith gayi.Videos dekhti rahi, notes bna kr share kiye , kuch cheezen search karti rahi.Yeh sab 08:00AM tak chalta raha.
8 se 9 baje tak apne personal kaam kiye,aur 9 baje so gayi.04:00PM ke waqt aankh khuli, lekin tabiyat theek nahi thi phir b mushkil se uth kr chai bna kr pii phir late gai
Mujhe neuropathic pain ka masla pichlay 1 saal se hai,jis ki wajah se kabhi kabhi zehni pressure aur jismana dard bohat zyada ho jata hai,aur daily tasks complete karna mushkil ho jata hai.Medicine li hui thi lekin us ka asar anay mein thora waqt lagta hai.
06:00PM mai ne zuhr aur asar ki nmaz ada ki phir Surah Baqarah li tilawat ki phir magrib ki nmaz k bd lait gai.
Is halat mein bhi main ne Quran parhna namaz ada karna apni poori koshish ke sath kiya —yehi aaj ke din ka sab se bara task tha.
9:30 se 10 baje tak kitchen ka kaam kiya,phir namaz parh kar let gayi.Thora sa TV dekha aur rest kiya,kyun ke sar aur gardan mein bohat pain tha,yahan tak ke neck move karna bhi mushkil ho gaya tha.
Alhamdulillah medicine le li hai, aur ab jub so kr uthu gi tou acha feel krun gi
7
0 comments
Bushra Liaqat
4
My daily journal (Day 9)
powered by
Make $1k-$10k in 30 days
skool.com/make-1k-5k-in-30-days-8449
Media Valley School is the fastest way to hit $1K/month with freelancing or agency work. Guaranteed.
Land your first $1K month in 30 days
Build your own community
Bring people together around your passion and get paid.
Powered by