"Ek banda tha jo har waqt clients k liye namaz delay karta tha, sochta tha kaam pehle, Allah baad mein. Uska kaam barhne ke bajaye girta gaya. Deals mein jhoot bolta tha, parents ki baat nahi maanta tha. Dil mein har waqt hasad aur shikwa tha. Freelancers ko time pe paise nahi deta, zakat bhi ignore karta. Jab koi rishtedaar call karta, avoid karta ya jhagra karta. Phir gila karta Allah se, ke rizq kam hai. Haram paisa bhi lene laga, aur jab thoda kamyab hua, ghamand aagaya. Aakhir mein, sab kuch haath se nikal gaya — kyun? Kyunki barakah chali gayi."
Lesson: Rizq sirf paisa nahi, barakah se hota hai — aur barakah Allah tab deta hai jab hum uske rules follow karte hain.