(Sadaqah Wajibah)
• Woh sadaqah jo wajib ho....jaise Sadaqat-ul-Fitr (Fitrana).
(Sadaqah Nafilah )
• Khushi se Allah ki raza ke liye diya gaya voluntary sadaqah.
(Sadaqah Jariyah )
• Aisa sadaqah jiska sawab lagataar milta rahe.. jaise masjid banana, paani ka kuan lagwana, ya ilm phailana.
(Maal ka Sadaqah )
• Paisa, khana, kapray ya zaroorat ki cheezen dena.
(Jismani Sadaqah )
• Kisi ki madad karna, bojh uthana, ya raasta saaf karna.
(Ilm ka Sadaqah)
• Deen ya faidemand ilm sikhana or share karna.
(Waqt ka Sadaqah )
• Apna waqt kisi ki madad ya khidmat mein dena.
(Muskurahat bhi Sadaqah hai )
• Kisi se achay akhlaq or muskurahat ke saath milna.
(Achi Baat ka Sadaqah)
• Narmi se baat karna or achi naseehat karna.
(Dua ka Sadaqah)
• Dusron ke liye ikhlas ke saath dua karna. 🤍✨