Surah Al-Baqarah Notes – 1
Allah Ta‘ala ne farishton se farmaya ke Main zameen par apna naib (khalifa) banane ja raha hoon۔
Farishton ne arz ki:“
Ya Allah! Kya Aap wahan aisi makhlooq paida farmaenge jo zameen par fasaad karegi aur khoon bahayegi?”
Allah Ta‘ala ne farmaya:“Main woh jaanta hoon jo tum nahi jaante.”
Yeh sawal farishton ne apne ilm aur mushahide ki bunyaad par kiya۔ Qur’an yahan jinnat ka naam direct mention nahi karta (yeh baat tafseer se samajh aati hai)۔
Phir Allah Ta‘ala ne Hazrat Adam (علیہ السلام) ko paida farmaya aur unhein cheezon ke naam sikhaye, jo farishton ko maloom na thay۔ Is se yeh baat wazeh hui ke ilm insaan ki bari fazilat hai۔
Allah Ta‘ala ne farishton ko hukm diya ke Adam (علیہ السلام) ko sajda karein۔Tamam farishton ne sajda kiya siwaye Iblees ke۔
Iblees ne sajda se inkaar kiya aur takabbur ki wajah se gumrah ho gaya۔ Us ne apni bartari aag ki bunyaad par dikhai, jo Allah ke hukm ke muqable mein ghalat soch thi۔
Phir Iblees ne Allah Ta‘ala se kaha:“Mujhe Roz-e-Aakhirat tak mohlat de di jaye. Main insaanon ke aage se, peechhe se, daayein taraf se aur baayein taraf se aa kar unhein teri seedhi raah se bhatkaunga, aur Aap un mein se aksar ko shukar guzaar nahi paayenge.”
Allah Ta‘ala ne farmaya:“Tu un logon par koi qaboo nahi pa sakta jo mere banday hain. Gumraahi sirf usi ke liye hogi jiske liye Main chahoon.”
Key Learning Points (Students ke liye):
  • Insaan ko khalifa bana kar zimmedari di gayi
  • Ilm insaan ki azeem fazilat hai
  • Takabbur Iblees ki halakat ka sabab bana
  • Shaitaan har simt se waswasa daalta hai
  • Hidayat aur gumraahi ka faisla sirf Allah ke haath mein hai
3
2 comments
Muhammad Hassaan
6
Surah Al-Baqarah Notes – 1
powered by
Make $1k-$10k in 30 days
skool.com/make-1k-5k-in-30-days-8449
Media Valley School is the fastest way to hit $1K/month with freelancing or agency work. Guaranteed.
Land your first $1K month in 30 days
Build your own community
Bring people together around your passion and get paid.
Powered by