⢠Allah ki mohabbat bepanah hai.
⢠Allah hamesha apne bandon ke liye aasani chahta hai.. mushkil nahi.
⢠Jab banda sachche dil se taubah karta hai..Allah uski taubah qabool karta hai.
⢠Allah har dua sunta hai or apni hikmat ke mutabiq uska jawab deta hai.
⢠Har nemat Allah ki mohabbat aur rehmat ki nishani hai.
⢠Agar tum Allah ki taraf ek qadam badhate ho.. Allah tumhari taraf aur zyada rehmat ke saath mutawajjah hota hai.
⢠Allah kabhi apne bandon par zulm nahi karta..woh sab se zyada Reham karne wala hai
Allah ki rehmat se mayoos na ho. Beshak Allah tamam gunah maaf kar deta hai.
⢠Chahe hum ne kitni hi ghaltiyan kyun na ki hon, Allah ki rehmat un sab se badi hai. Agar tum ikhlas (sachche dil) ke saath Allah ki taraf rujoo karo aur taubah karo...to Allah tumhein kabhi apni rehmat se mehroom nahi karega.