Assalamu Alaikum! 🤍
• Subah 3 baje main so gayi thi.
• 11 baje meri aankh khuli.
• Uth kar maine apne test ki tayari ki.
• Us ke baad maine thori der drama dekha.
• Phir Jamia jane ka waqt ho gaya or hum taqriban 1 baje Jamia pohanch gaye.
• 4 baje Jamia se chhutti hui.
• Chhutti ke baad main Sehar ke saath pizza khane gayi.
• Pizza kha kar taqriban 5 baje ghar wapas aa gayi.
• Ghar aa kar maine kuch der phone use kiya.
• Us ke baad maine mama ky sath help krwai Kamoo mai.
• Phr Maine viedo editing ki class li.
• lecture liye or notes banaye or post Kiya.
• Jin logon ne mujhe comment di thi.. un sab ko maine replies bhi diye.
• Or drama dakha ab mai daily journal likh rhi Hu phr Mai so gai.....
🤍 Alhamdulillah....aaj ka din isi tarah guzra. Allah Ta'ala se dua hai ke woh meri ilm mein barkat de, mujhe har din behtar banne ki taufeeq ata farmaye Ameen ✨
Allah Hafiz ✨