Daily Journal : Day 3
Acha jee, 🌀️
Main aaj subah utha, uth ke taqreeban 10 bajay utha kyun ke raat ko jo hai baarish thi, 2 bajay baarish mein wahan khulwa di thi. 🌧️
10 bajay utha, uth ke naashta kiya, munh dhoya, naashta kiya. Naashta karne ke baad 1.5 ghanta Instagram dekha. πŸ“±
Instagram dekhne ke baad main ne kya kiya janaab, light chali gayi. ⚑ Mera chota bhai bahar jaane ki zid kar raha tha, bahar bachon ke saath khelne ki zid kar raha tha. Main bahar nikla usko le ke, bachon ke saath khilaya. πŸ§’βš½ Uski security ke liye main khara raha, taqreeban koi 1.5 ghanta jo hai usko khilata raha.
Phir light aa gayi, light aane ke baad ghar aa gaya. 🏠 Ghar aa ke ghar ka paani khatam hua tha, paani le ke aaya. πŸ’§ Paani la ke jo hai apni ek shirt sahi karwani thi main ne, woh sahi karwai, fitting karwai, usko fit karwa ke naha ke namaaz parhi, khana khaya, thori dair rest ki. πŸ‘•πŸ½οΈ
Rest karne ke baad jo hai cousin ka phone aa gaya. πŸ“ž Us cousin ki shop hai apni, uski electrician ki shop hai, udhar kaam karta hai aur saath woh kuch IoT ka project kar raha tha. Uski call aayi, uske paas ek aur cousin aaya hua tha milne ke liye. Udhar ja ke kuch karte karte IoT ka project banaya, 1-2 theek hai se code likhwaya C++ mein aur us code ko phir Arduino software mein convert karke usko Arduino/new devices mein upload kiya aur us se project complete kiye. πŸ’»πŸ”Œ
Aur yeh complete karte karte jo hai shaam ke taqreeban 6 baj gaye. ⏰ 6 bajay ghar aaya, munh dhoya, 10 minute baitha, thori dair baitha phir namaaz parhi. 🀲 Namaaz parhne ke baad abhi yeh record likh raha hoon. ✍️
Abhi jo hai thori dair baad khana khana, khane ke baad school ki LMS open kar ke lectures waghera loon ga. πŸŽ“ Aur bas phir so jaon ga, phir subah office ki tayyari karoon ga. πŸŒ™
2
0 comments
Syed Hassnain Zaidi
4
Daily Journal : Day 3
powered by
Make $1k-$10k in 30 days
skool.com/make-1k-5k-in-30-days-8449
Media Valley School is the fastest way to hit $1K/month with freelancing or agency work. Guaranteed.
Land your first $1K month in 30 days
Build your own community
Bring people together around your passion and get paid.
Powered by