Daily journal
45 Day Saturday 27. 12. 25
​Aghaz-e-Din (Spiritual Start)
​Din ka aghaz ALLAH ke huzoor sar-basujood ho kar hua.
  • ​Tahajjud (5:30 AM): Tahajjud ki namaz ada ki aur uske baad makhsoos masnoon duayein mangi. ALLAH se apni aur ghar walo ki khair-o-afiyat ki dua ki aur kuch azkaar ki tasbihaat ki.
  • ​Fajar (6:00 AM): Fajar ki namaz apne muqarara waqt par ada ki aur apni kamyabi ke liye dua ki.
​Timeline of The DayTime
Activity / Event
5:30 AM
Tahajjud and Duas: Ibadat aur pur-sukoon duayon mein waqt guzara.
6:00 AM
Fajar Namaz: Namaz ki pabandi ki.
12:30 PM
Wake up and Breakfast: Aaj job aur learning dono se chuti thi, isliye sukoon se 12:30 baje utha aur nashta kiya.
1:30 PM
Community Engagement: Sirf apna journal likha aur community par sab ke comments ke replies diye.
2:30 PM
Namaz Zohar: Namaz Zohar ada ki aur ALLAH se dua-e-magfirat ki.
3:00 PM
Nani House Visit: Baccho ko unki Nani ke ghar lekar gaya.
4:30 PM
Asar Namaz: Asar ki namaz ada ki aur kuch chalte phirte gupshup hui.
6:00 PM
Namaz Maghrib: Maghrib ada ki aur family ko ek acchi life dene ki dua ki.
7:00 PM
Dinner: Dinner kiya, khane mein (Niheri) bani hui thi.
7:30 PM
Shopping: Bachon ki reh gayi shopping aaj tasalli se mukammal ki. 11: 30. Day Ending Note. Aaj ka din kafi pur-sukoon raha. Family ke saath raha, job aur learning se chuti ki wajah se zehni taur par kafi fresh mehsoos kar raha hoon. Bachon ki shopping ka kaam bhi pura hua aur Nani ke ghar le ja kar khushi hui.
​Prayer Tracker
  • ​Tahajjud: 5:30 AM to 6:00 AM √
  • ​Fajar: 6:00 AM to 6:30 AM √
  • ​Zohar: 2:30 PM to 3:00 PM √
  • ​Asar: 4:30 PM to 4:45 PM √
  • ​Maghrib: 6:00 PM to 6:20 PM √
  • ​Isha: 11:30 PM to 12:00 AM √
8
7 comments
Habib Ahmed
6
Daily journal
powered by
Make $1k-$10k in 30 days
skool.com/make-1k-5k-in-30-days-8449
Media Valley School is the fastest way to hit $1K/month with freelancing or agency work. Guaranteed.
Land your first $1K month in 30 days
Build your own community
Bring people together around your passion and get paid.
Powered by