Aaj main bohat khush hoon Alhamdulillah π€
Lag raha hai ke is community ka faida milna start ho gaya hai.
Sab se important β aaj Fajr ki namaz parhi aur dua karke so gaya.
Lekin kal se plan hai ke Fajr ke baad jagta rahun aur lecture le kar proper notes banaun.
11:00 am uth kar fresh hua.
Jumuβah ki namaz bhi ada ki.
Uske baad ek client se milne gaya β 4 saal se sath kaam kar raha tha, lekin last 4 months se uska bill pending tha aur wo order bhi nahi de raha tha.
Milne par pata chala ke wo kisi aur se kaam kar raha hai.
Maine us se calmly baat ki aur apni value explain ki:
better quality, lower rates, delivery aur credit facility.
Phir uske sath lunch bhi kiya.
Wahan se ghar aaya β garmi bohat thi, to rest kiya.
Unfortunately, 1 hour Snapchat par waste kar diya β is ka afsos hai.
4 pm shop jana tha lekin 5 pm pohoncha.
Asar ki namaz masjid me padhi. Wuzu ke liye watch utari thi aur wahin bhool gaya.
Namaz ke baad yaad aaya, wapas gaya to watch nahi mili.
Maghrib me bhi check kiya lekin nahi mili.
Lesson learned:
Apni cheezon ka khayal rakhna zaroori hai. Next time zyada careful rahunga.
Shop wapas aakar safai ki aur glasses ka kaam kiya.
Customers ko glasses ready hone ka message kiya.
Aaj jo ladka kaam seekhne aata hai, wo nahi aaya.
Maghrib ke baad Quran padha, 1 ayat ko samjha aur us par note likh kar post kiya.
Isha ki namaz padhi.
Thode snacks liye aur shop close ki.
Uske baad ek dost ke sath saamne hotel par baith kar chai pi aur usay community ke baare me bataya.
Raat 1 baje ghar aaya, fresh hua, khana khaya.
Ab journal likh kar kal ka plan likh kar sone ja raha hoon.
Reflection:
Aaj ka din productive tha β Fajr, client meeting, Quran, learning.
Lekin time management aur distractions (Snapchat) par kaam karna hai.
Plan for tomorrow:
- Fajr ke baad nahi sona
- Lecture + notes lena
- Time waste avoid karna
Progress ho rahi hai, step by step π₯