π Daily Journal β Day 46π― Target β This Month 1 lakh PKR earn karna
π
Date: 23 / 02 / 2026 π Ramadan Routine Aaj kal Ramzan chal raha hai, is liye routine thora change ho gaya hai. Aaj main 3:30 PM utha. Mujhe ye improve karna hai kyun ke late uthne ki wajah se kabhi kabhi Zuhr ki namaz ba-jamat miss ho jati hai. Kabhi kabhi jamat mil jati hai, lekin mujhe is pe aur focus karna hai. π Ibadat & Learning Uth kar fresh hua aur phir Quran Pak parhta hoon. Uske baad main Asr ki namaz parhne chala jata hoon. Asr ke baad usually main bachon ko Sipara parhane jata hoon, lekin aaj Sunday tha, is liye off tha. Wapas aa kar phir se Quran tilawat ki. π
Iftar & Family Time Phir Roza iftar kiya π€ Iftar ke baad thora family ke saath time spend kiya. π Night Routine Uske baad Isha ki namaz aur Tarawih parhne gaya. Tarawih ke baad ghar aa kar khana khaya. Usually Tarawih ke baad main gym jata hoon, lekin aaj Sunday tha, is liye gym off tha. π» Work / Agency Gym ke baad normally kaam karta hoon, aur aaj kal main apni agency ke liye ek video edit kar raha tha β Alhamdulillah wo complete ho gayi hai β
Ab next step hai usko post karna. π§ Reflection Aaj kal routine thori aage peeche ho gayi thi, isi wajah se main daily journal nahi likh pa raha tha. Lekin ab mujhe: Sleep schedule theek karna hai Zuhr ba-jamat consistently parhni hai Ramadan mein ibadat + work balance maintain karna hai Ramadan productivity ka month bhi hai aur self-discipline ka bhi π₯