Tarjuma:
“Har tarah ki hamd o sana Allah hi ke liye hai, jis ne aasmanon aur zameen ko paida kiya aur andhera aur roshni banayi, phir bhi kafir doosri cheezon ko Allah ke barabar thehrate hain.”
Maine kya samjha:
Is ayat mein Allah humein ek bohat gehri baat samjha rahe hain — ke sab kuch Allah ne banaya, har cheez ka Malik sirf woh hai. Phir bhi insaan kabhi kabhi apni zindagi mein aisi cheezon ko zyada importance dene lagta hai jo Allah se aage chali jati hain.
Agar hum apni daily life dekhein:
- Jab azaan hoti hai aur hum customer ya kaam ko prefer karte hain…
- Jab hum neend ko namaz se zyada importance dete hain…
To humein sochna chahiye ke hum kis ko zyada value de rahe hain?
Agar hum Allah ke hukm par foran uth kar namaz ke liye chale jate hain, to hum ne Allah ko sab se upar rakha.
Lekin agar hum delay karte hain ya ignore karte hain, to kahin na kahin hum duniya ki cheezon ko zyada ahmiyat de rahe hote hain.
Yeh ayat humein apni priorities check karne ka paigham deti hai — ke kahin hum bhi anjaane mein kisi cheez ko Allah se zyada ahmiyat to nahi de rahe?
💭 Aaj khud se sawal karein…
🤲 Dua:
Allah hum sab ko sochne aur samajhne ki tofeeq ata farmaaye, aur humein apni zindagi mein hamesha usi ko sab se upar rakhne ki hidayat de. Ameen.