Main kafi din baad post likh raha hoon. Darasal main Islamabad mein nahi tha, main apne gaon gaya hua tha. Iski wajah batana mere liye mushkil hai, kyun ke meri nani ka inteqal ho gaya tha. Isi wajah se main ek week tak wahan raha, aur na main community mein active reh saka aur na hi journaling kar saka
Aaj main wapas aa gaya hoon, to In Sha Allah aaj se dobara journaling start karunga. Main daily apni progress community mein share karunga aur active rahunga. Apne goals par bhi proper focus karunga, In Sha Allah.
May Allah grant my nani Jannah. Ameen.