Maine ek bohat khoobsurat cheez seekhi hai:
Raat ko sone se pehle apne aap ko aur un sab logon ko maaf karke soya karo, beshak kisi ne aap ke saath jitna bhi bura kyun na kiya ho.Aap ka focus sirf Allah par hona chahiye.
Wasif Ali Wasif ka ek bohat gehra jumla hai:
“Agar tum se Qayamat ke din yeh poocha jaye ke tum kis ko Jannat mein le kar jana chahte ho, to sab se pehle us ka naam lena jiske baare mein tum duniya mein sochte thay ke isay Dozakh milni chahiye.”
Is liye apni nazar Allah par rakho, logon ki baaton ko dil par mat lo.
“Us ne mere saath aisa kyun kiya?”,“ Woh hota kaun hai mujhe aise bolne wala? ”,“ Main zyada jaanta/jaanti hoon”, “Ab yeh mujhe bataye ga kya sahi hai aur kya ghalat?” , “Is ne mere saath aisa kiya hai, ab main isay aisa sabaq sikhaon ga/sikhaon gi ke is ki 7 naslein yaad rakhein.”
Yeh saari baatein shaitan ki taraf se hoti hain.
Agar in sab ke bajaye aap sirf yeh keh dein:
“Logon ne mere saath bohat bura kiya, lekin main ne unhein Allah ki raza ke liye maaf kar diya, aur main Allah par bharosa karta/karti hoon,”
To yaqeen jaaniye, Allah maaf karne walon se bohat muhabbat karta hai.
JazakAllah 🤍