• Jab bhi hum social media par koi post ya message parhte hain jahan Salam likha ho.. to hum par Salam ka jawab dena farz ho jata hai. • Aksar log scroll karte hue is baat par dhyan nahi dete.
(Quran-o-Hadith ki roshni mein)
Or jab tumhein koi dua (ya salam) di jaye.. to tum us se behtar dua (ya salam) do ya wahi (lafz) lauta do.
(Surah An-Nisa, Ayat: 86)
Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya: Ek musalman ke doosray musalman par paanch huqooq hain: Salam ka jawab dena, beemar ki taddari karna, janaze ke sath chalna, dawat qabool karna, or cheenk ka jawab dena.
• Agli baar jab bhi kisi ki post ya message par Salam likha dekhein...to dil mein ya reply kar ke Jawab zaroor dein. Choti si niki..
bara sawab.