For introduction, read the 1st 3 days' posts, click ๐๐ผDay 0 ,Day 1 , Day 2 Asbab e faqr number 13. Makhlooq se sawal karna
- Riwayat me faqr ka darwaza kaha hai
- Ek hota hai sabab ye to sabab bhi nai balke darwaza hai
- Examples: Log bheek mangte hai. balance khatam hogaya he call kr skta hu. Lift mangna. Pen bhool gaya extra hai. Bhai ye utha kr dedo.
- Is se bachne ka tareeqa ye hei k give and take maamla krain
- Qarz lena dakhil nai hai. Q k aap wapsi krenge, hattal imkan na lain. Lekin isko wapsi karte waaqt gift dain.
- badle me dua de dain. Shukria, jazakAllah. Ye bi give and take hogaya. sawal se bach gae
- Kisi doosre k lie sawal krna samil nai. Apne haq k lie sawal krna shamil nai. Ahlia bacho se khidmat lena bhi shamil nai. Behtar hai k kuch chote kaam khud kr lain.
- Choti se choti cheez ka sawal nahoosat rkhta hai
Asbab e faqr number 14. Rishte daro se bura sulook karna ( sirf mehram rishtedar )
- Un ki burai aur gheebat bi na krain. Ye buray sulook me shamil he.
- Rishtedaro ko maaf kr dain
Note: Gina/Khushhalee sambhalna bare dil wale ka kam hai. Dil uska bara hota hai jo maaf karta he.
Asbab e faqr number 15. Najaiz zaraaye se maal haasil karna
- Ye ek khatarnaak sabab hai
- Hadees pak ka mafhoom hai ke jo shakhs haraam zaraye se maal kamae ga wo halaakat ki jaga me jaega aur maal wale ko bhi halaakat ki jaga me le jaega
- Agr najaiz mal ghar me agaya means humare saaf maal me bi mix hosakta hai aur bacho ko bi halak kr skta hai
- Halaal maal me mil kar isko bhi zaya kar sakta hai
- Ulema farmate hain ke ghalat jaga maal ka lagaana bhi is baat ki nishani hai ke wo maal ghalat jaga se aya he
- examples: sood, rishwat, chori, virasat dabali, jua, gunah ka koi bi karobar, business partner ka hissa daba lia, mazdoori jo agreed thi usme kam di, kaam ni kia aur pese poore lie
- Haraam job ek dam chorna mana hei
- Jo shakhs halal khana chahe Allah kabi bhi use zabardasti haram nahi khilayega
- Ishara milta hai k 10x halal maal ko effect krta hai ye haraam mal