Chapter / Para 7 – Aaj Quran Tarjuma se parha
Aj maine Surah Maidah ki ayat 94 aur 95 parhi, aur unko samajhne ki koshish ki. Jo mujhe samajh aya, socha ap logon ke sath share karun.
In ayaton mein Allah ne ihram ki halat mein shikar se mana kiya hai, ta ke yeh dekha ja sagae ke kaun Allah se ghaib mein darta hai. Agar koi is hukum ko tor deta hai, to us ke liye kaffara rakha gaya hai — jisme 3 options diye gaye hain:
Janwar ki qurbani
Miskeen ko khana khilana
Roze rakhna
Mujhe is se 3 important baatein samajh ayi:
1. Allah ka reham aur mohabbat:
Allah humein seedha mana karta hai ghalat kam se, lekin agar hum se ghalti ho jaye to Allah ne saza ke bajaye options diye hain take banda duniya mein hi apni ghalti Sahi kar le aur akhirat ke azaab se bach jaye. Yeh Allah ki mohabbat ko show karta hai.
2. Saza mein bhi tarbiyat hai (learning through pain):
Teeno options mein kisi na kisi tarah ka “loss” ya “effort” hai — chahe maal kharch ho ya roza rakhna paray. Is se banda apni ghalti feel karta hai, aur yeh dard usay dobara gunah se rokta hai. Yani Allah humein better banana chahta hai.
3. Har option mein khair aur sawab hai:
Qurbani kisi ko faida hota hai
Khana khilana miskeen ki madad hoti hai
Roza banda khud ko control karta hai aur gunahon se bachta hai
Yani kaffara sirf gunah ka badla nahi, balki ek aisa system hai jahan banda apni ghalti bhi theek karta hai aur sawab bhi kama leta hai.
Conclusion:
Mujhe yeh samajh aya ke Allah humein saza dena nahi chahta, balki humein acha banana chahta hai. Har hukum ke peeche hikmat aur reham hota hai.
Agar ap is par apni koi understanding share karna chahte hain to zaroor karein 🤝