Growing Own Family Business Always Hits Different
Ek khaas qisam ka insaan hota hai jiske paas sab kuch hota hai. Skills bhi, knowledge bhi, strategies bhi, lekin phir bhi peeche rehta hai. Rukta rehta hai. Khud se kehta rehta hai, "Baad mein sahi. Jab waqt sahi hoga tab." (I was the same) Humne parha. seekha, samjha ke businesses kaise scale hote hain, marketing kaise kaam karti hai, kuch banana kaise hota hai. Aur phir ghar jaate ho aur family ka business wahan hota hai. Wohi dukaan, wohi tariqa, wohi method jo tumhare abbu ya dada ne bees saal pehle use kiya tha. Aur andar kuch machalta hai. Kya Main kuch kar sakta hoon is ke saath. Koi innovation la skta hu??? Yeh feeling? Isko ignore mat karo. Yeh humari apni calling hai jo darwaza khatkha rahi hai. (To Upgrade) One thing no one would tell you, "You are not starting from 0" Jab baaki sab bahar jaake trust banana ki koshish kar rahe hain, customer base banana ki, apna naam banana ki, humary paas yeh sab pehle se hai. Decades ki reputation. loyal customers. Ek neev jo humari family ne khoon, paseene aur saalon ki mehnat se banayi hai. Hum business start nahi kar rahe. Hum to bss 99 se 100 tak ja rahy hain. Aur jo log sochte hain — "Agar kaam na aya toh?" Sunno,, Pehli baar kaam na aye, koi baat nahi. Phir bhi hum nayi connections lekar nikloge. Nayi samajh lekar. Ek aisa tajurba jo hume badal dega. Yahan koi nuksaan nahi. Sirf seekhna hai or seekhna hamesha fayda deta hai. Aur jab hum physically bhi hain aur digitally bhi, Dukaan mein bhi, screen par bhi Tab hum sirf beta ya beti nahi rehte. Hum bridge ban jaate hain. Purane aur naye ke beech. Jo tha or jo hone wala hai us ke beech. Toh agar skills hain use karo. Agar strategies hain apply karo. Agar family business hai to faida uthao. Jo humse pehle ghiste rahe, unka haq ada karo. Aur khud ko bhi woh mauka do jiska intezaar tha.